Karva Chauth: Shubh Muhurt, Puja Vidhi aur Chand Nikalne Ka Sahi Samay
Karva Chauth ka vrat har suhagin stri ke liye bahut khas hota hai. Yeh vrat pati ki lambi umar, achhi sehat aur khushhal married life ke liye rakha jata hai. Iss din mahilayein dinbar nirjala (bina paani ke) vrat rakhti hain aur raat ko chand ko arghya dene ke baad hi apna Karva Chauth ka vrat kholti hain.
Karva Chauth Shubh Muhurat
Sahi muhurat mein puja karne se vrat ka pura fal milta hai. Shaam ke samay Mata Karva aur Shiv parivar ki puja ki jaati hai.
Karva Chauth Puja Muhurat: Shaam 05:45 PM se 07:02 PM tak
Vrat Ka Samay: Subah 06:15 AM se Raat 08:15 PM tak
Chand Nikalne Ka Samay (Moonrise Time)
Karva Chauth ke vrat mein chand ka darshan karna sabse zaroori hota hai.
Chand Nikalne Ka Time: Raat 08:15 PM (alag-alag sheharon ke hisab se 10-15 minute ka fark ho sakta hai).
Raat ko chand nikalne par chhalni se chand ko dekhein, arghya dein aur phir pati ka chehra dekh kar vrat kholein.
Puja Ke Liye Zaroori Samagri
Puja shuru karne se pehle yeh samaan taiyar rakhein:
Mitti ya tambe ka karva aur uski seek
Roli, akshat (chawal), chandan, dhoop aur deepak
Karva Chauth ki katha book
Phool, phal, sweets aur chhalni
Suhaag ka samaan (sindoor, bindi, mehendi, chunri, bangles)
Karva Chauth Ki Aasan Puja Vidhi
Sargi Aur Sankalp: Subah suraj nikalne se pehle (lagbhag 4:00 AM se 5:00 AM) sargi khayein. Iske baad dinbhar Karva Chauth ka nirjala vrat rakhne ka sankalp lein.
Puja Ki Taiyari: Shaam ko saaf kapde (laal ya pehle rang ke) pehnein aur 16 shringar karein.
Chowki Lagayein: Ek chowki par laal kapda bichhakar Shiv parivar aur Karva Chauth Mata ki photo rakhein.
Karva Sajayein: Karve mein jal bharein, uspar swastik banayein, seek lagayein aur upar mithaai rakhein.
Katha Aur Puja: sabse pehle Ganesh ji aur Shiv parivar ki puja karein. Roli-chawal lagayein, dhoop-deep jalayein aur Karva Chauth ki katha sunein.
Chand Ko Arghya: Raat ko chand nikalne par chhalni mein deepak rakh kar chand ke darshan karein aur jal se arghya dein.
Vrat Kholein: Chand ke baad pati ka chehra dekhein, unke hath se paani pee kar aur mithaai khakar apna Karva Chauth vrat pura karein. End mein ghar ke badon ke charan sparsh karke aashirwad lein.
Vrat Ke Kuch Zaroori Rules
Vrat ke din kaale ya neele rang ke kapde na pehnein. Laal, peela ya pink rang best hota hai.
Iss din kisi par gussa na karein aur na hi kisi se behas karein.
Puja ke baad apna bayana (sweets, fruits, kapde) apni saas ya kisi badi mahila ko zaroor dein.
Bhavishya Nakshatra
Acharya Sharad Swarup
Contact Number: 9818359075 | 9953359075
Social Media Links:
